jab bhi paraya tel jalaya charagh mein
jab bhī parāyā tel jalāyā charāġh meñ
paivand tīrgī kā lagāyā charāġh meñ
hai mushtarak nazāra-o-nazzārgī kā vasf
ik aañkh meñ to duujā banāyā charāġh meñ
chalne lagī hai umr-e-guzishta kī jaise film
yādoñ ne kaisā rañg jamāyā charāġh meñ
tujh ko bashar ke ruup meñ aayā nahīñ nazar
maiñ to ḳhudā ko dekh ke aayā charāġh meñ
ījād apnī maz.har-e-fitrat dikhā.ī dī
rab ne mujhe vo aks dikhāyā charāġh meñ
maujūd hī na thā jo dikhā.ī diyā 'valī'
us shoḳh ne bhī aks milāyā charāġh meñ
jab bhi paraya tel jalaya charagh mein
paiwand tirgi ka lagaya charagh mein
hai mushtarak nazara-o-nazzargi ka wasf
ek aankh mein to duja banaya charagh mein
chalne lagi hai umr-e-guzishta ki jaise film
yaadon ne kaisa rang jamaya charagh mein
tujh ko bashar ke rup mein aaya nahin nazar
main to KHuda ko dekh ke aaya charagh mein
ijad apni mazhar-e-fitrat dikhai di
rab ne mujhe wo aks dikhaya charagh mein
maujud hi na tha jo dikhai diya 'wali'
us shoKH ne bhi aks milaya charagh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.