jab bhi qissa apna paDhna
jab bhī qissa apnā paḌhnā
pahle chehra chehrā paḌhnā
tanhā.ī kī dhuup meñ tum bhī
baiTh ke apnā saayā paḌhnā
āvāzoñ ke shahar meñ rah kar
siikh gayā huuñ lahja paḌhnā
har koñpal kā haal likhā hai
shāḳh kā piilā pattā paḌhnā
bhej ke naama yaad dilā do
bhuul gayā huuñ likhnā paḌhnā
logo merī pyaas kā qissa
sadiyoñ dariyā dariyā paḌhnā
dīvāroñ par kuchh likkhā hai
tum bhī apnā kūcha paḌhnā
maazī kā ā.īna rakh kar
ḳhud ko thoḌā thoḌā paḌhnā
maiñ huuñ sañg-e-mīl kī sūrat
mujh se merā rastā paḌhnā
ziist kā matlab kyā hai 'kāzim'
apnā apnā likhnā paḌnā
jab bhi qissa apna paDhna
pahle chehra chehra paDhna
tanhai ki dhup mein tum bhi
baiTh ke apna saya paDhna
aawazon ke shahar mein rah kar
sikh gaya hun lahja paDhna
har konpal ka haal likha hai
shaKH ka pila patta paDhna
bhej ke nama yaad dila do
bhul gaya hun likhna paDhna
logo meri pyas ka qissa
sadiyon dariya dariya paDhna
diwaron par kuchh likkha hai
tum bhi apna kucha paDhna
mazi ka aaina rakh kar
KHud ko thoDa thoDa paDhna
main hun sang-e-mil ki surat
mujh se mera rasta paDhna
zist ka matlab kya hai 'kazim'
apna apna likhna paDna
- Book : کتاب سنگ (Pg. 50)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.