jab bhi raste pe ghaur karta hun
jab bhī raste pe ġhaur kartā huuñ
pahle ḳhatre pe ġhaur kartā huuñ
Tahniyoñ ko harā-bharā rakhnā
patte patte pe ġhaur kartā huuñ
ḳhūbsūrat to us ke haath bhī haiñ
par maiñ chehre pe ġhaur kartā huuñ
us kī bolī samajh nahīñ aatī
sirf lahje pe ġhaur kartā huuñ
jab tire shahr se guzartā huuñ
chappe-chappe pe ġhaur kartā huuñ
zarre-zarre meñ vo dikhā.ī de
zarre-zarre pe ġhaur kartā huuñ
jab bhi raste pe ghaur karta hun
pahle KHatre pe ghaur karta hun
Tahniyon ko hara-bhara rakhna
patte patte pe ghaur karta hun
KHubsurat to us ke hath bhi hain
par main chehre pe ghaur karta hun
us ki boli samajh nahin aati
sirf lahje pe ghaur karta hun
jab tere shahr se guzarta hun
chappe-chappe pe ghaur karta hun
zarre-zarre mein wo dikhai de
zarre-zarre pe ghaur karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.