jab bhi tahzib-e-junun ke sath diwana chala
jab bhī tahzīb-e-junūñ ke saath dīvāna chalā
pīchhe pīchhe sāya-e-gesū-e-jānāna chalā
iltifāt-e-nāz kā mauqa to aaya thā magar
haath se patthar bhī un ke be-niyāzāna chalā
sham-e-mahfil be-zabāñ hai varna khul jaatā bharam
kyā kaheñ kis rang meñ yāroñ kā afsāna chalā
rang-o-bū ko paañv chhūne kī tamanna rah ga.ī
mere qadmoñ se lipaT kar yuuñ bhī vīrāna chalā
e.atibār-e-jalva-e-manzil hai us kā naqsh-e-pā
jo har ik naqsh-e-qadam se ho ke begāna chalā
muntazir haiñ log lekin chashm-e-sāqī kī qasam
maiñ to ik sāġhar meñ pī kar saarā mai-ḳhāna chalā
ham to do din saath bhī the varna ai 'jauhar' yahāñ
sang aur shīshe meñ kitnī der yārāna chalā
jab bhi tahzib-e-junun ke sath diwana chala
pichhe pichhe saya-e-gesu-e-jaanana chala
iltifat-e-naz ka mauqa to aaya tha magar
hath se patthar bhi un ke be-niyazana chala
sham-e-mahfil be-zaban hai warna khul jata bharam
kya kahen kis rang mein yaron ka afsana chala
rang-o-bu ko panw chhune ki tamanna rah gai
mere qadmon se lipaT kar yun bhi virana chala
eatibar-e-jalwa-e-manzil hai us ka naqsh-e-pa
jo har ek naqsh-e-qadam se ho ke begana chala
muntazir hain log lekin chashm-e-saqi ki qasam
main to ek saghar mein pi kar sara mai-KHana chala
hum to do din sath bhi the warna ai 'jauhar' yahan
sang aur shishe mein kitni der yarana chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.