jab bhi tere makan se guzre
jab bhī tere makān se guzre
kaise kaise gumān se guzre
shorish-e-bahr-e-be-karāñ thī magar
ham baḌī ān-bān se guzre
maiñ ki ab tak huuñ rahguzar kā amiiñ
aur sab is jahān se guzre
rāh-e-maqtal gavāh hai ab bhī
ham the mansūr shaan se guzre
kuchh to guzre baḌe yaqīn ke saath
aur kuchh bad-gumān se guzre
jo kaḌī dhuup ke savālī the
kyoñ vahī sā.ebān se guzre
jab bhi tere makan se guzre
kaise kaise guman se guzre
shorish-e-bahr-e-be-karan thi magar
hum baDi aan-ban se guzre
main ki ab tak hun rahguzar ka amin
aur sab is jahan se guzre
rah-e-maqtal gawah hai ab bhi
hum the mansur shan se guzre
kuchh to guzre baDe yaqin ke sath
aur kuchh bad-guman se guzre
jo kaDi dhup ke sawali the
kyon wahi saeban se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.