jab bhi tumko socha hai
jab bhī tum ko sochā hai
saarā manzar badlā hai
jaate jaate ye kis ne
naam pavan par likkhā hai
añgāroñ ke mausam meñ
jismoñ kā sā mela hai
merī bastī meñ aa kar
pāgal dariyā Thahrā hai
ḳhushiyāñ haiñ mehmān mirī
ġham merā ham-sāyā hai
tum kyā jaano kashmīrī
dillī meñ kyā hotā hai
jab bhi tum ko socha hai
sara manzar badla hai
jate jate ye kis ne
nam pawan par likkha hai
angaron ke mausam mein
jismon ka sa mela hai
meri basti mein aa kar
pagal dariya Thahra hai
KHushiyan hain mehman meri
gham mera ham-saya hai
tum kya jaano kashmiri
dilli mein kya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.