jab bhi tumhaari yaad ki aahaT mujhe mili
jab bhī tumhārī yaad kī aahaT mujhe milī
tanhā.ī kāñptī huī mujh se judā huī
āvāz de ke kis ko bulā.ūñ meñ apne paas
zulmat kī chaar so mire dīvār uTh ga.ī
vo log itnī der meñ kis samt ko ga.e
sāhil pe aa chukā thā safīna abhī abhī
haiñ sho.ala-bār tāroñ kī āñkheñ na jaane kyuuñ
jhulsā rahī hai jism ko kyuuñ aaj chāñdnī
ham apne dil kā haal sunā.eñ kise yahāñ
lagtā hai saarā shahr hameñ shams' ajnabī
jab bhi tumhaari yaad ki aahaT mujhe mili
tanhai kanpti hui mujh se juda hui
aawaz de ke kis ko bulaun mein apne pas
zulmat ki chaar so mere diwar uTh gai
wo log itni der mein kis samt ko gae
sahil pe aa chuka tha safina abhi abhi
hain shoala-bar taron ki aankhen na jaane kyun
jhulsa rahi hai jism ko kyun aaj chandni
hum apne dil ka haal sunaen kise yahan
lagta hai sara shahr hamein shams' ajnabi
- Book : sheerazah (Pg. 114)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.