jab bhi un ka KHayal aaya hai
jab bhī un kā ḳhayāl aayā hai
dil pe kaif-o-surūr chhāyā hai
log phūloñ ko bhī masalte haiñ
ham ne kāñToñ se ghar sajāyā hai
yuuñ to ḳhushiyāñ bhī thiiñ mohabbat meñ
dard hī dil ke kaam aayā hai
har ḳhushī ek ḳhvāb ho jaise
zindagī jaise koī saaya hai
saarā aalam nashe meñ Duub gayā
tum ne āñkhoñ se kyā pilāyā hai
uf tarāshā huā hasīn badan
ḳhud ḳhudā ne tumheñ banāyā hai
jhūTī bātoñ se dil bahaltā hai
sachchī bātoñ ne dil jalāyā hai
vaqt kī maar bhī ajab shai hai
achchhe achchhoñ ko hosh aayā hai
ġham jo 'parvez' dil kā mahram thā
vo bhī apnā nahīñ parāyā hai
jab bhi un ka KHayal aaya hai
dil pe kaif-o-surur chhaya hai
log phulon ko bhi masalte hain
hum ne kanTon se ghar sajaya hai
yun to KHushiyan bhi thin mohabbat mein
dard hi dil ke kaam aaya hai
har KHushi ek KHwab ho jaise
zindagi jaise koi saya hai
sara aalam nashe mein Dub gaya
tum ne aankhon se kya pilaya hai
uf tarasha hua hasin badan
KHud KHuda ne tumhein banaya hai
jhuTi baaton se dil bahalta hai
sachchi baaton ne dil jalaya hai
waqt ki mar bhi ajab shai hai
achchhe achchhon ko hosh aaya hai
gham jo 'parwez' dil ka mahram tha
wo bhi apna nahin paraya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.