jab bhi us ka KHayal karta hun
jab bhī us kā ḳhayāl kartā huuñ
apnī ġhazloñ meñ rañg bhartā huuñ
shahr se us ke jab guzartā huuñ
ḳhud-baḳhud TūTtā bikhartā huuñ
dekhtā huuñ bulandiyoñ kī taraf
sīḌhiyāñ jab kabhī utartā huuñ
aap Darte haiñ apne dushman se
aur maiñ dostoñ se Dartā huuñ
zālimoñ se tujhe karam kī umiid
maiñ tirī sādgī pe martā huuñ
maiñ musāfir huuñ dhuup kā 'arshad'
maiñ kahāñ chhāñv meñ Thahartā huuñ
jab bhi us ka KHayal karta hun
apni ghazlon mein rang bharta hun
shahr se us ke jab guzarta hun
KHud-baKHud TuTta bikharta hun
dekhta hun bulandiyon ki taraf
siDhiyan jab kabhi utarta hun
aap Darte hain apne dushman se
aur main doston se Darta hun
zalimon se tujhe karam ki umid
main teri sadgi pe marta hun
main musafir hun dhup ka 'arshad'
main kahan chhanw mein Thaharta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.