jab bhi wo aasman-janab aae
jab bhī vo āsmāñ-janāb aa.e
saaya kartā huā sahāb aa.e
harf miTne lage haiñ zehnoñ se
phir koī sāhib-e-kitāb aa.e
jab ko Duube hue zamāna huā
yaad kuchh aise āftāb aa.e
zindagī bahr-e-be-karāñ hī sahī
ham to bas sūrat-e-habāb aa.e
jaise ḳhālī makāñ pe dastak ho
dar-o-dīvār se javāb aa.e
varaq-e-zindagī palaTte rahe
kāmrānī kā koī baab aa.e
saare mazmūñ mohabbatoñ par hoñ
kaash aisā koī nisāb aa.e
merī nārāzgī Thahar na sakī
haath meñ le ke vo gulāb aa.e
jab bhi wo aasman-janab aae
saya karta hua sahab aae
harf miTne lage hain zehnon se
phir koi sahib-e-kitab aae
jab ko Dube hue zamana hua
yaad kuchh aise aaftab aae
zindagi bahr-e-be-karan hi sahi
hum to bas surat-e-habab aae
jaise KHali makan pe dastak ho
dar-o-diwar se jawab aae
waraq-e-zindagi palaTte rahe
kaamrani ka koi bab aae
sare mazmun mohabbaton par hon
kash aisa koi nisab aae
meri naraazgi Thahar na saki
hath mein le ke wo gulab aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.