jab bhi wo milne ka wada karta hai
jab bhī vo milne kā va.ada kartā hai
dil merā zoroñ se dhaḌkā kartā hai
jo kuchh bhī ham nīche vaale karte haiñ
sab kuchh uupar vaalā dekhā kartā hai
maalī kī qismat bhī kaisī qismat hai
ġhairoñ ke peḌoñ ko sīñchā kartā hai
bāhar sab se hañs kar miltā-jultā hai
lekin ghar meñ aa kar jhagḌā kartā hai
har bachche ko shābāshī detā hai vo
bas apne bachchoñ par ġhussa kartā hai
sach bolūñ to mujh ko aisā lagtā hai
merā saaya merā pīchhā kartā hai
sunte haiñ vo āne-jāne vāloñ se
bas mere baare meñ pūchhā kartā hai
keval merī ġhalatī ho to mānūñ bhī
vo bhī to muḌ muḌ kar dekhā kartā hai
ham bhī us se aisī mastī karte haiñ
jaisī mastī suī se dhāgā kartā hai
jab bhi wo milne ka wada karta hai
dil mera zoron se dhaDka karta hai
jo kuchh bhi hum niche wale karte hain
sab kuchh upar wala dekha karta hai
mali ki qismat bhi kaisi qismat hai
ghairon ke peDon ko sincha karta hai
bahar sab se hans kar milta-julta hai
lekin ghar mein aa kar jhagDa karta hai
har bachche ko shabashi deta hai wo
bas apne bachchon par ghussa karta hai
sach bolun to mujh ko aisa lagta hai
mera saya mera pichha karta hai
sunte hain wo aane-jaane walon se
bas mere bare mein puchha karta hai
kewal meri ghalati ho to manun bhi
wo bhi to muD muD kar dekha karta hai
hum bhi us se aisi masti karte hain
jaisi masti sui se dhaga karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.