jab bhi yaad aai mujhe us se milan ki KHushbu
jab bhi yaad aai mujhe us se milan ki KHushbu
Professor Mahmood Alam
MORE BYProfessor Mahmood Alam
jab bhī yaad aa.ī mujhe us se milan kī ḳhushbū
mujh ko yaad aa.ī bahut us ke badan kī ḳhushbū
gul kī ḳhushbū ho ki raihān kī bhīnī ḳhushbū
un kī ḳhushbū se mo.attar hai chaman kī ḳhushbū
garche pardes rahā chaar dahā.ī se pare
phir bhī din-rāt satātī hai vatan kī ḳhushbū
haq ke shaidā.ī sar-e-dār bhī haq bol ga.e
duur se aa.ī unheñ dār-o-rasan kī ḳhushbū
zikr allāh kā jin lab se huā chaar pahar
un kī sāñsoñ meñ basī mushk-e-ḳhutan kī ḳhushbū
qad to ūñchā hai mire yaar kā us se bhī sivā
vo sarāpā hai mirā sarv-o-saman kī ḳhushbū
hai ye miTTī baḌī zarḳhez bahut hī soñdhī
gul-badāmāñ hai mire gang-o-jaman kī ḳhushbū
jab bhī guzrā huuñ sar-e-shām kisī marghaT se
duur tak aatī rahī apne kafan kī ḳhushbū
kaun guzrā hai yahāñ se ki mo.attar hai havā
jānī-pahchānī sī lagtī hai pavan kī ḳhushbū
tū ne jo zaḳhm diye bhar to ga.e haiñ phir bhī
umr-bhar aatī rahī us kī chubhan kī ḳhushbū
haiñ to zaḳhmī usī nāgin kī nigah ke 'ālam'
phir bhī chunte haiñ sadā us ke nayan kī ḳhushbū
jab bhi yaad aai mujhe us se milan ki KHushbu
mujh ko yaad aai bahut us ke badan ki KHushbu
gul ki KHushbu ho ki raihan ki bhini KHushbu
un ki KHushbu se moattar hai chaman ki KHushbu
garche pardes raha chaar dahai se pare
phir bhi din-raat satati hai watan ki KHushbu
haq ke shaidai sar-e-dar bhi haq bol gae
dur se aai unhen dar-o-rasan ki KHushbu
zikr allah ka jin lab se hua chaar pahar
un ki sanson mein basi mushk-e-KHutan ki KHushbu
qad to uncha hai mere yar ka us se bhi siwa
wo sarapa hai mera sarw-o-saman ki KHushbu
hai ye miTTi baDi zarKHez bahut hi sondhi
gul-badaman hai mere gang-o-jaman ki KHushbu
jab bhi guzra hun sar-e-sham kisi marghaT se
dur tak aati rahi apne kafan ki KHushbu
kaun guzra hai yahan se ki moattar hai hawa
jaani-pahchani si lagti hai pawan ki KHushbu
tu ne jo zaKHm diye bhar to gae hain phir bhi
umr-bhar aati rahi us ki chubhan ki KHushbu
hain to zaKHmi usi nagin ki nigah ke 'alam'
phir bhi chunte hain sada us ke nayan ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.