jab bhi ye baat chali hai ki KHuda hai koi
jab bhī ye baat chalī hai ki ḳhudā hai koī
merī tasvīr mujhe sauñp gayā hai koī
soch phir soch ye me.ār-e-vafā hai koī
kaam aa jaa.e to samjheñ ki ḳhudā hai koī
merī qismat mire māthe hī pe likh dī hotī
khul to jaatā ki gunahgār-e-vafā hai koī
aaj se ishq kī tārīḳh badal jā.egī
aa.ina laao mujhe dekh rahā hai koī
log betāb haiñ tā.īd-e-sadāqat ke liye
ek āvāz to aa.e ki ḳhudā hai koī
fāsloñ meñ kisī tafrīq kā ehsās na thā
ek hote hī ye samjhe ki judā hai koī
aur kuchh tazkira-e-soz-e-tamannā 'anjum'
sab ko ma.alūm to ho tujh se milā hai koī
jab bhi ye baat chali hai ki KHuda hai koi
meri taswir mujhe saunp gaya hai koi
soch phir soch ye mear-e-wafa hai koi
kaam aa jae to samjhen ki KHuda hai koi
meri qismat mere mathe hi pe likh di hoti
khul to jata ki gunahgar-e-wafa hai koi
aaj se ishq ki tariKH badal jaegi
aaina lao mujhe dekh raha hai koi
log betab hain taid-e-sadaqat ke liye
ek aawaz to aae ki KHuda hai koi
faslon mein kisi tafriq ka ehsas na tha
ek hote hi ye samjhe ki juda hai koi
aur kuchh tazkira-e-soz-e-tamanna 'anjum'
sab ko malum to ho tujh se mila hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.