jab bhi ye gardan jhuka li jaegi
jab bhī ye gardan jhukā lī jā.egī
aap kī har baat ḳhālī jā.egī
merī tarz-e-dostāna ke ḳhilāf
kuchh na kuchh ḳhāmī nikālī jā.egī
muflisī ko is se kyā matlab ki kab
iid aa.egī dīvālī jā.egī
bāñdhiye mazmūn sanjīda to phir
aap kī nāzuk-ḳhayālī jā.egī
jab qasam se mas.ale hote haiñ tai
ik qasam har baar khā lī jā.egī
kījiye har ek Daalī kā bachāo
varna phir ik ek Daalī jā.egī
ai 'niyāzī' sach kahāñ hogā ki jab
maslahat lab pe sajā lī jā.egī
jab bhi ye gardan jhuka li jaegi
aap ki har baat KHali jaegi
meri tarz-e-dostana ke KHilaf
kuchh na kuchh KHami nikali jaegi
muflisi ko is se kya matlab ki kab
id aaegi diwali jaegi
bandhiye mazmun sanjida to phir
aap ki nazuk-KHayali jaegi
jab qasam se masale hote hain tai
ek qasam har bar kha li jaegi
kijiye har ek Dali ka bachao
warna phir ek ek Dali jaegi
ai 'niyazi' sach kahan hoga ki jab
maslahat lab pe saja li jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.