jab bichhaDne ka faisla kiya tha
jab bichhaḌne kā faisla kiyā thā
ham ne aapas meñ mashvara kiyā thā
dasht ne qais se ka.ī din tak
merī vahshat kā tazkira kiyā thā
ḳhud-kushī kā bhī rāsta thā magar
ham ne jiine kā faisla kiyā thā
dushmanoñ ko bulā ke apne ghar
maiñ ne ik dost kā gila kiyā thā
merī har baat maan kar tum ne
mere haq meñ bahut burā kiyā thā
jab bichhaDne ka faisla kiya tha
hum ne aapas mein mashwara kiya tha
dasht ne qais se kai din tak
meri wahshat ka tazkira kiya tha
KHud-kushi ka bhi rasta tha magar
hum ne jine ka faisla kiya tha
dushmanon ko bula ke apne ghar
main ne ek dost ka gila kiya tha
meri har baat man kar tum ne
mere haq mein bahut bura kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.