jab chahe koi toD de aise to nahin hain
jab chāhe koī toḌ de aise to nahīñ haiñ
miTTī ke haiñ miTTī ke khilaune to nahīñ haiñ
be-mehrī-e-ahbāb kā shikva nahīñ mujh ko
ahbāb haiñ rahmat ke farishte to nahīñ haiñ
māthe pe shikan aur pareshān haiñ zulfeñ
ye aap kisī fikr meñ uljhe to nahīñ haiñ
in kaalī ghaTāoñ ko maiñ pahchān rahā huuñ
bādal jo garajte haiñ baraste to nahīñ haiñ
motī kī tarah aab haiñ chehroñ se numāyāñ
ye log kahīñ Duub ke ubhre to nahīñ haiñ
tadbīr se taqdīr kā rishta nahīñ miltā
ham haath dhare haath pe baiThe to nahīñ haiñ
kyā ġham hai jo dil aap kā toḌā hai kisī ne
duniyā meñ 'shamīm' aap akele to nahīñ haiñ
jab chahe koi toD de aise to nahin hain
miTTi ke hain miTTi ke khilaune to nahin hain
be-mehri-e-ahbab ka shikwa nahin mujh ko
ahbab hain rahmat ke farishte to nahin hain
mathe pe shikan aur pareshan hain zulfen
ye aap kisi fikr mein uljhe to nahin hain
in kali ghaTaon ko main pahchan raha hun
baadal jo garajte hain baraste to nahin hain
moti ki tarah aab hain chehron se numayan
ye log kahin Dub ke ubhre to nahin hain
tadbir se taqdir ka rishta nahin milta
hum hath dhare hath pe baiThe to nahin hain
kya gham hai jo dil aap ka toDa hai kisi ne
duniya mein 'shamim' aap akele to nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.