jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha
jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha
Saeed Ahmad Akhtar
MORE BYSaeed Ahmad Akhtar
jab chāroñ-or añdherā thā sach kam thā jhuuT ghanerā thā
dariyā se baḌe ik shaḳhs kā ik dariyā ke kināre Derā thā
vo thā kuchh us ke bachche the kuchh saath the aur kuchh ghar vaale
ā.īne se kore dil vaale kohsār se ūñche sar vaale
ye log vafā ke haamī the nā-mūs-o-hayā ke haamī the
bas ek rasūl ke qaa.il bas ek ḳhudā ke haamī the
is dā.ī-e-amn-o-mohabbat ke raste meñ dushman kī faujeñ
yuuñ barsoñ phail ga.iiñ jaise chaḌhte dariyā kī maujeñ
bātil ke haath pe ye zulm haq vāloñ se bai.at lete the
mehmān banā kar laa.e the paanī bhī na piine dete the
insāf kī pyaar kī āshtī kī sab bāteñ jab be-kār ga.iiñ
vo mard-e-mujāhid haq ke liye kaT marne ko tayyār huā
afrād pe bhī aqvām pe bhī ye mushkil aatī rahtī hai
har daur meñ haq-o-bātil kī quvvat Takrātī rahtī hai
phir jañg huī vo jañg jise tā-hashr na bhūlegā koī
vo zulm hue jin par ab tak har shahr meñ mātam hote haiñ
us zulm kā qissa lambā hai us jañg kī pustak bhārī hai
vo jañg jo kab kī ḳhatm huī vo jañg abhī tak jaarī hai
jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha
dariya se baDe ek shaKHs ka ek dariya ke kinare Dera tha
wo tha kuchh us ke bachche the kuchh sath the aur kuchh ghar wale
aaine se kore dil wale kohsar se unche sar wale
ye log wafa ke hami the na-mus-o-haya ke hami the
bas ek rasul ke qail bas ek KHuda ke hami the
is dai-e-amn-o-mohabbat ke raste mein dushman ki faujen
yun barson phail gain jaise chaDhte dariya ki maujen
baatil ke hath pe ye zulm haq walon se baiat lete the
mehman bana kar lae the pani bhi na pine dete the
insaf ki pyar ki aashti ki sab baaten jab be-kar gain
wo mard-e-mujahid haq ke liye kaT marne ko tayyar hua
afrad pe bhi aqwam pe bhi ye mushkil aati rahti hai
har daur mein haq-o-baatil ki quwwat Takraati rahti hai
phir jang hui wo jang jise ta-hashr na bhulega koi
wo zulm hue jin par ab tak har shahr mein matam hote hain
us zulm ka qissa lamba hai us jang ki pustak bhaari hai
wo jang jo kab ki KHatm hui wo jang abhi tak jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.