jab charaghon ki taraf mail hawa ho jaegi
jab charāġhoñ kī taraf maa.il havā ho jā.egī
zindagī jalte charāġhoñ kī fanā ho jā.egī
zindagī hai merī hastī se tire dam kā vujūd
maiñ fanā ho jā.uñgā tū bhī fanā ho jā.egī
mehrbānī mujh pe farmā to rahe haiñ soch leñ
aap se kyā mere zaḳhmoñ kī davā ho jā.egī
ḳhud ḳhafā ho jā.eñge ham zindagī se ek din
zindagī kyā dosto ham se ḳhafā ho jā.egī
zindagī meñ aa.egā us din shabāb apnī 'na'īm'
mujh pe jab un ke sitam kī intihā ho jā.egī
jab charaghon ki taraf mail hawa ho jaegi
zindagi jalte charaghon ki fana ho jaegi
zindagi hai meri hasti se tere dam ka wujud
main fana ho jaunga tu bhi fana ho jaegi
mehrbani mujh pe farma to rahe hain soch len
aap se kya mere zaKHmon ki dawa ho jaegi
KHud KHafa ho jaenge hum zindagi se ek din
zindagi kya dosto hum se KHafa ho jaegi
zindagi mein aaega us din shabab apni 'na'im'
mujh pe jab un ke sitam ki intiha ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.