jab chaudhwin ka chand nikalta dikhai de
jab chaudhvīñ kā chāñd nikaltā dikhā.ī de
vo gerua libās badaltā dikhā.ī de
dariyā-e-zindagī ki nigāhoñ kā hai qusūr
Thahrā dikhā.ī de kabhī chaltā dikhā.ī de
paḌne lage jo zor havas kā to kyā nigāh
har zāviye se jism nikaltā dikhā.ī de
bahrūpiye ke haath paḌe haiñ so raat din
din raat rañg-rūp badaltā dikhā.ī de
rakkhe hai yuuñ to paañv sambhal-soch kar magar
nazroñ kā farsh hai ki phisaltā dikhā.ī de
us naam meñ vo shola-garī hai jo lījiye
har room meñ charāġh sā chaltā dikhā.ī de
maiñ 'ashk' shakl naam se vāqif nahīñ magar
ik shaḳhs hai jo saath hī chaltā dikhā.ī de
jab chaudhwin ka chand nikalta dikhai de
wo gerua libas badalta dikhai de
dariya-e-zindagi ki nigahon ka hai qusur
Thahra dikhai de kabhi chalta dikhai de
paDne lage jo zor hawas ka to kya nigah
har zawiye se jism nikalta dikhai de
bahrupiye ke hath paDe hain so raat din
din raat rang-rup badalta dikhai de
rakkhe hai yun to panw sambhal-soch kar magar
nazron ka farsh hai ki phisalta dikhai de
us nam mein wo shola-gari hai jo lijiye
har room mein charagh sa chalta dikhai de
main 'ashk' shakl nam se waqif nahin magar
ek shaKHs hai jo sath hi chalta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.