jab dasht-e-tamanna mein koi phul khila hai
jab dasht-e-tamannā meñ koī phuul khilā hai
shahr-e-dil-e-ḳhāmosh se ik shor uThā hai
āñkhoñ meñ khañDar hoñToñ pe ik bhūlā huā naam
chāhat meñ kisī kī ye ajab haal huā hai
phir yādoñ kī dahlīz pe jal uTThī haiñ sham.eñ
phir palkoñ pe bikhrā huā ik ḳhvāb sajā hai
har saañs ho talvār sī jaise rag-e-jāñ par
jiinā bhī yahāñ naam kisī mo.ajize kā hai
ḳhāmosh bahut der se hai bahr-e-havādis
tūfān tah-e-āb koī khaul rahā hai
tum chāho to ye āḳhirī sarmāya bhī le lo
ik dard kī daulat ke sivā paas hī kyā hai
'betāb' baras jaane do āñkhoñ kā ye sāvan
tinkoñ kā badan sho.aloñ kī bāhoñ meñ ghirā hai
jab dasht-e-tamanna mein koi phul khila hai
shahr-e-dil-e-KHamosh se ek shor uTha hai
aankhon mein khanDar honTon pe ek bhula hua nam
chahat mein kisi ki ye ajab haal hua hai
phir yaadon ki dahliz pe jal uTThi hain shamen
phir palkon pe bikhra hua ek KHwab saja hai
har sans ho talwar si jaise rag-e-jaan par
jina bhi yahan nam kisi moajize ka hai
KHamosh bahut der se hai bahr-e-hawadis
tufan tah-e-ab koi khaul raha hai
tum chaho to ye aaKHiri sarmaya bhi le lo
ek dard ki daulat ke siwa pas hi kya hai
'betab' baras jaane do aankhon ka ye sawan
tinkon ka badan shoalon ki bahon mein ghira hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.