jab dekhiye aankhon mein kuchh ashk machalte hain
jab dekhiye āñkhoñ meñ kuchh ashk machalte haiñ
ye kaise musāfir haiñ rukte haiñ na chalte haiñ
ehsās kī shiddat se kuchh ashk nikalte haiñ
ye barf ke TukḌe haiñ garmī meñ pighalte haiñ
ḳhāmosh nigāhoñ ko ma.asūm na samjhā kar
soī huī maujoñ meñ tūfān bhī palte haiñ
is zulf kī ThanDak se inkār nahīñ lekin
ham log haiñ dīvāne angāroñ pe chalte haiñ
ai dekhne vaale tū jī bhar ke nazāra kar
ham bhī tire kūche se ik baar nikalte haiñ
tārīḳh-e-jahāñ koī likkhe bhī to kyā likkhe
sadiyoñ meñ to insāñ ke kirdār badalte haiñ
dekho dil-e-'tābāñ' meñ gunjā.isheñ kitnī haiñ
is farsh pe rah kar bhī ham arsh pe chalte haiñ
jab dekhiye aankhon mein kuchh ashk machalte hain
ye kaise musafir hain rukte hain na chalte hain
ehsas ki shiddat se kuchh ashk nikalte hain
ye barf ke TukDe hain garmi mein pighalte hain
KHamosh nigahon ko masum na samjha kar
soi hui maujon mein tufan bhi palte hain
is zulf ki ThanDak se inkar nahin lekin
hum log hain diwane angaron pe chalte hain
ai dekhne wale tu ji bhar ke nazara kar
hum bhi tere kuche se ek bar nikalte hain
tariKH-e-jahan koi likkhe bhi to kya likkhe
sadiyon mein to insan ke kirdar badalte hain
dekho dil-e-'taban' mein gunjaishen kitni hain
is farsh pe rah kar bhi hum arsh pe chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.