jab dekhta hun tanha tujhko sajan chaman mein
jab dekhta hun tanha tujhko sajan chaman mein
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
jab dekhtā huuñ tanhā tujh ko sajan chaman meñ
kis kis tarah kī bāteñ aatī haiñ mere man meñ
laḌke khaḌe haiñ ġhamgīñ pathre paḌe haiñ bekas
dīvāna haa.e jab se jaatā rahā hai ban meñ
majnūñ kī ḳhush-nasībī kartī hai daaġh dil ko
kyā aish kar gayā hai zālim dīvāne-pan meñ
is dāġh-dār dil ko gaaḌo na saath mere
Dartā huuñ mat lage uTh ātish mire kafan meñ
ḳhūbāñ 'yaqīñ' ko ma.azūr ab to rakho ki is ke
lohū nahīñ jigar meñ aañsū nahīñ nayan meñ
jab dekhta hun tanha tujh ko sajan chaman mein
kis kis tarah ki baaten aati hain mere man mein
laDke khaDe hain ghamgin pathre paDe hain bekas
diwana hae jab se jata raha hai ban mein
majnun ki KHush-nasibi karti hai dagh dil ko
kya aish kar gaya hai zalim diwane-pan mein
is dagh-dar dil ko gaDo na sath mere
Darta hun mat lage uTh aatish mere kafan mein
KHuban 'yaqin' ko mazur ab to rakho ki is ke
lohu nahin jigar mein aansu nahin nayan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.