jab DhunDoge apna koi
jab DhūñDoge apnā koī
yaad aa.egā mujh sā koī
shahroñ shahroñ ghuum rahā hai
dīvāna ik tanhā koī
anjāne un chehroñ se bhī
lagtā kyoñ hai rishta koī
aañsū chhal chhal bah nikle haiñ
kyā yaad aayā apnā koī
chal dete haiñ aañkh churā kar
kab hai aas bañdhātā koī
shahr se us ke aane vaalo
us kā sandesa laatā koī
raat na muḌ kar dekhā us ne
dil kā mol na samjhā koī
jab DhunDoge apna koi
yaad aaega mujh sa koi
shahron shahron ghum raha hai
diwana ek tanha koi
anjaane un chehron se bhi
lagta kyon hai rishta koi
aansu chhal chhal bah nikle hain
kya yaad aaya apna koi
chal dete hain aankh chura kar
kab hai aas bandhata koi
shahr se us ke aane walo
us ka sandesa lata koi
raat na muD kar dekha us ne
dil ka mol na samjha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.