jab dhup khili KHud ko ajab rah mein paya
jab dhuup khilī ḳhud ko ajab raah meñ paayā
aage mirī parchhā.īñ thī pīchhe mirā saayā
yuuñ raat ga.e kis ko sadā dete haiñ aksar
vo kaun hamārā thā jo vāpas nahīñ aaya
jab āḳhirī mauqa' thā ki sāhil pe utarte
dariyā ne hameñ apnī taraf aise bulāyā
sab ḳhush haiñ to lagtā hai ḳhushī 'aam sī shai hai
achchhā huā tū ne mujhe ġham-ḳhvār banāyā
pahle to samajh meñ bhī nahīñ aaya ki kyā hai
jab us ko batāyā to mujhe us ne batāyā
har dard kī ik had hai aur is had se ziyāda
ye kyā hai jise sah nahīñ paatā huuñ ḳhudāyā
vo ḳhvāb ke andar kā añdherā thā so us ne
sone na diyā mujh ko har ik raat jagāyā
jab dhup khili KHud ko ajab rah mein paya
aage meri parchhain thi pichhe mera saya
yun raat gae kis ko sada dete hain aksar
wo kaun hamara tha jo wapas nahin aaya
jab aaKHiri mauqa' tha ki sahil pe utarte
dariya ne hamein apni taraf aise bulaya
sab KHush hain to lagta hai KHushi 'am si shai hai
achchha hua tu ne mujhe gham-KHwar banaya
pahle to samajh mein bhi nahin aaya ki kya hai
jab us ko bataya to mujhe us ne bataya
har dard ki ek had hai aur is had se ziyaada
ye kya hai jise sah nahin pata hun KHudaya
wo KHwab ke andar ka andhera tha so us ne
sone na diya mujh ko har ek raat jagaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.