jab dil ki KHalish baDh jati hai majbur jab insan hota hai
jab dil ki KHalish baDh jati hai majbur jab insan hota hai
Shankar Lal Shankar
MORE BYShankar Lal Shankar
jab dil kī ḳhalish baḌh jaatī hai majbūr jab insāñ hotā hai
jiinā jise mushkil ho jaa.e marnā use āsāñ hotā hai
aa.ī thī javānī ham par bhī ham ne bhī bahāreñ dekhī haiñ
is daur se ham bhī guzre haiñ ik ḳhvāb-e-pareshāñ hotā hai
be-kār hai shikva apnoñ kā be-sūd shikāyat ġhairoñ kī
jab vaqt burā aa jaatā hai saaya bhī gurezāñ hotā hai
maiñ un ke sitam sab bhuul gayā mujh ko to karam yaad aate haiñ
vo sar bhī uThā saktā hai kabhī jo banda-e-ehsāñ hotā hai
har-vaqt ulajhte rahte haiñ ye haath kisī ke dāman se
jab hosh mujhe aa jaatā hai merā hī garebāñ hotā hai
har ek ko jaanā paḌtā hai duniyā ke musāfir ḳhāne se
kuchh roz iqāmat hotī hai kuchh roz kā mehmāñ hotā hai
ai zāhid-e-ḳhud-bīñ rahmat-e-haq āġhosh meñ us ko le legī
jo apne gunāhoñ par dil meñ har-vaqt pashemāñ hotā hai
jo dekh rahe haiñ sāhil se ye haal bhalā vo kyā jāneñ
tūfāñ se guzarne vāloñ ko andāza-e-tūfāñ hotā hai
ye ishq-o-vafā kī bāteñ haiñ pūchhe koī 'shañkar' ke dil se
vo sāmne jab aa jaate haiñ har saañs ġhazal-ḳhvāñ hotā hai
jab dil ki KHalish baDh jati hai majbur jab insan hota hai
jina jise mushkil ho jae marna use aasan hota hai
aai thi jawani hum par bhi hum ne bhi bahaaren dekhi hain
is daur se hum bhi guzre hain ek KHwab-e-pareshan hota hai
be-kar hai shikwa apnon ka be-sud shikayat ghairon ki
jab waqt bura aa jata hai saya bhi gurezan hota hai
main un ke sitam sab bhul gaya mujh ko to karam yaad aate hain
wo sar bhi uTha sakta hai kabhi jo banda-e-ehsan hota hai
har-waqt ulajhte rahte hain ye hath kisi ke daman se
jab hosh mujhe aa jata hai mera hi gareban hota hai
har ek ko jaana paDta hai duniya ke musafir KHane se
kuchh roz iqamat hoti hai kuchh roz ka mehman hota hai
ai zahid-e-KHud-bin rahmat-e-haq aaghosh mein us ko le legi
jo apne gunahon par dil mein har-waqt pasheman hota hai
jo dekh rahe hain sahil se ye haal bhala wo kya jaanen
tufan se guzarne walon ko andaza-e-tufan hota hai
ye ishq-o-wafa ki baaten hain puchhe koi 'shankar' ke dil se
wo samne jab aa jate hain har sans ghazal-KHwan hota hai
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 259)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.