jab dil mein ghurur aae to danai bhi kya hai
jab dil meñ ġhurūr aa.e to dānā.ī bhī kyā hai
jab raat añdherī ho to bīnā.ī bhī kyā hai
jab Dūbnā Thahrā hai to tūfāñ kā kise ḳhauf
jab ashk samundar hoñ to gahrā.ī bhī kyā hai
jab zaḳhm hoñ siine meñ to phir dard hai kyā chiiz
gulshan meñ mire mauj-e-havā laa.ī bhī kyā hai
phir ġhair ke har jhuuT pe kartā hai yaqīñ vo
phir shauq ko sakta hai ki sachchā.ī bhī kyā hai
phir umr-e-gurezāñ ne kahā jaao chale jaao
kyā us se kahoge vahāñ sunvā.ī bhī kyā hai
phir dil ne kahā hañs ke vo sahrā ho qafas ho
jab us se bichhaḌnā hai to tanhā.ī bhī kyā hai
phir zikr mirā sun ke kahā us ne 'ra.īs' ek
bas chāk-garebāñ hai vo saudā.ī bhī kyā hai
jab dil mein ghurur aae to danai bhi kya hai
jab raat andheri ho to binai bhi kya hai
jab Dubna Thahra hai to tufan ka kise KHauf
jab ashk samundar hon to gahrai bhi kya hai
jab zaKHm hon sine mein to phir dard hai kya chiz
gulshan mein mere mauj-e-hawa lai bhi kya hai
phir ghair ke har jhuT pe karta hai yaqin wo
phir shauq ko sakta hai ki sachchai bhi kya hai
phir umr-e-gurezan ne kaha jao chale jao
kya us se kahoge wahan sunwai bhi kya hai
phir dil ne kaha hans ke wo sahra ho qafas ho
jab us se bichhaDna hai to tanhai bhi kya hai
phir zikr mera sun ke kaha us ne 'rais' ek
bas chaak-gareban hai wo saudai bhi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.