jab dil mein kabhi wo mere mehman rahe hain
jab dil meñ kabhī vo mire mehmān rahe haiñ
vīrāne meñ bhī jashn ke sāmān rahe haiñ
aksar ye huā maslahat-e-ishq kī ḳhātir
har baat samajhte hue anjān rahe haiñ
anjām pe nazreñ haiñ magar kuchh nahīñ kahte
ham vaqt kī raftār ko pahchān rahe haiñ
ḳhud maiñ ne bhī chāhā thā jinheñ puure na ho paa.eñ
aise bhī mire dil meñ kuchh armān rahe haiñ
ham un ke taġhāful ko samajhte haiñ ik andāz
ye baat hai jis par vo burā maan rahe haiñ
ta.amīr-e-nasheman ke haiñ andāz bahut ḳhuub
anjām jo honā hai vo ham jaan rahe haiñ
jin saḳht marāhil se guzarnā nahīñ mumkin
ham par vo marāhil bahut āsān rahe haiñ
is darja nazākat to tabī.at meñ nahīñ thī
har baat par ab aap burā maan rahe haiñ
kyā merī ḳhamoshī ne 'qamar' un se kahā hai
tā-der vo mahfil meñ pashemān rahe haiñ
jab dil mein kabhi wo mere mehman rahe hain
virane mein bhi jashn ke saman rahe hain
aksar ye hua maslahat-e-ishq ki KHatir
har baat samajhte hue anjaan rahe hain
anjam pe nazren hain magar kuchh nahin kahte
hum waqt ki raftar ko pahchan rahe hain
KHud main ne bhi chaha tha jinhen pure na ho paen
aise bhi mere dil mein kuchh arman rahe hain
hum un ke taghaful ko samajhte hain ek andaz
ye baat hai jis par wo bura man rahe hain
tamir-e-nasheman ke hain andaz bahut KHub
anjam jo hona hai wo hum jaan rahe hain
jin saKHt marahil se guzarna nahin mumkin
hum par wo marahil bahut aasan rahe hain
is darja nazakat to tabiat mein nahin thi
har baat par ab aap bura man rahe hain
kya meri KHamoshi ne 'qamar' un se kaha hai
ta-der wo mahfil mein pasheman rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.