jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare
jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare
Anand Narayan Mulla
MORE BYAnand Narayan Mulla
jab dil meñ zarā bhī aas na ho iz.hār-e-tamannā kaun kare
armān kiye dil hī meñ fanā armān ko rusvā kaun kare
ḳhālī hai mirā sāġhar to rahe saaqī ko ishārā kaun kare
ḳhuddārī-e-sā.il bhī to hai kuchh har baar taqāzā kaun kare
jab apnā dil ḳhud le Duube auroñ pe sahārā kaun kare
kashtī pe bharosā jab na rahā tinkoñ pe bharosā kaun kare
ādāb-e-mohabbat meñ bhī ajab do dil milne ko raazī haiñ
lekin ye takalluf haa.il hai pahlā vo ishārā kaun kare
dil terī jafā se TuuT chukā ab chashm-e-karam aa.ī bhī to kyā
phir le ke isī TuuTe dil ko ummīd dobārā kaun kare
jab dil thā shagufta gul kī tarah Tahnī kāñTā sī chubhtī thī
ab ek fasurda dil le kar gulshan kī tamannā kaun kare
basne do nasheman ko apne phir ham bhī kareñge sair-e-chaman
jab tak ki nasheman ujḌā hai phūloñ kā nazārā kaun kare
ik dard hai apne dil meñ bhī ham chup haiñ duniyā nā-vāqif
auroñ kī tarah dohrā dohrā kar us ko fasānā kaun kare
kashtī maujoñ meñ Daalī hai marnā hai yahīñ jiinā hai yahīñ
ab tūfānoñ se ghabrā kar sāhil kā irāda kaun kare
'mullā' kā galā tak baiTh gayā bahrī duniyā ne kuchh na sunā
jab sunñe vaalā ho aisā rah rah ke pukārā kaun kare
jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare
arman kiye dil hi mein fana arman ko ruswa kaun kare
KHali hai mera saghar to rahe saqi ko ishaara kaun kare
KHuddari-e-sail bhi to hai kuchh har bar taqaza kaun kare
jab apna dil KHud le Dube auron pe sahaara kaun kare
kashti pe bharosa jab na raha tinkon pe bharosa kaun kare
aadab-e-mohabbat mein bhi ajab do dil milne ko raazi hain
lekin ye takalluf hail hai pahla wo ishaara kaun kare
dil teri jafa se TuT chuka ab chashm-e-karam aai bhi to kya
phir le ke isi TuTe dil ko ummid dobara kaun kare
jab dil tha shagufta gul ki tarah Tahni kanTa si chubhti thi
ab ek fasurda dil le kar gulshan ki tamanna kaun kare
basne do nasheman ko apne phir hum bhi karenge sair-e-chaman
jab tak ki nasheman ujDa hai phulon ka nazara kaun kare
ek dard hai apne dil mein bhi hum chup hain duniya na-waqif
auron ki tarah dohra dohra kar us ko fasana kaun kare
kashti maujon mein Dali hai marna hai yahin jina hai yahin
ab tufanon se ghabra kar sahil ka irada kaun kare
'mulla' ka gala tak baiTh gaya bahri duniya ne kuchh na suna
jab sunne wala ho aisa rah rah ke pukara kaun kare
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 156)
- Author : Anand Narayan Mull a
- Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.