jab diya KHamosh tha aur raushni hoti na thi
jab diya KHamosh tha aur raushni hoti na thi
Mohammad Shahid Firoz
MORE BYMohammad Shahid Firoz
jab diyā ḳhāmosh thā aur raushnī hotī na thī
raat kyā aatī thī goyā zindagī hotī na thī
jin dinoñ logoñ kī āñkheñ ḳhvāhishoñ se duur thiiñ
un dinoñ is shahr kī ye dilkashī hotī na thī
apnī apnī raġhbatoñ par jab talak thā iḳhtiyār
tere mere darmiyāñ ye bebasī hotī na thī
un dinoñ kī baat hai jab ham the miTTī se juḌe
be-kalī ma.adūm thī aur be-dilī hotī na thī
dekhte hī dekhte manzar badal kar rah gayā
ye galī suunī thī jab tak aap kī hotī na thī
apne apne din the sab ke apnī apnī raat thī
koī bhī shai jab nazar meñ markazī hotī na thī
jab dar-o-dīvār aa.e to uThī dīvār bhī
ghar nahīñ thā to hamārī be-gharī hotī na thī
ishq ne jab tak junūñ kā rāsta dekhā na thā
zindagī be-kaif thī tīsha-garī hotī na thī
is zamīñ kā ḳhālī-pan thā aur havā kā shor thā
un dinoñ kī baat hai jab shā.irī hotī na thī
jis kī shādābī hameñ le aa.ī hai 'shāhid' yahāñ
us jazīre par kabhī kyā zindagī hotī na thī
jab diya KHamosh tha aur raushni hoti na thi
raat kya aati thi goya zindagi hoti na thi
jin dinon logon ki aankhen KHwahishon se dur thin
un dinon is shahr ki ye dilkashi hoti na thi
apni apni raghbaton par jab talak tha iKHtiyar
tere mere darmiyan ye bebasi hoti na thi
un dinon ki baat hai jab hum the miTTi se juDe
be-kali madum thi aur be-dili hoti na thi
dekhte hi dekhte manzar badal kar rah gaya
ye gali suni thi jab tak aap ki hoti na thi
apne apne din the sab ke apni apni raat thi
koi bhi shai jab nazar mein markazi hoti na thi
jab dar-o-diwar aae to uThi diwar bhi
ghar nahin tha to hamari be-ghari hoti na thi
ishq ne jab tak junun ka rasta dekha na tha
zindagi be-kaif thi tisha-gari hoti na thi
is zamin ka KHali-pan tha aur hawa ka shor tha
un dinon ki baat hai jab shairi hoti na thi
jis ki shadabi hamein le aai hai 'shahid' yahan
us jazire par kabhi kya zindagi hoti na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.