jab duaen bhi kuchh asar na karen
jab duā.eñ bhī kuchh asar na kareñ
kyā kareñ sabr ham agar na kareñ
dāstāñ ḳhatm ho hī jā.egī
aap qisse ko muḳhtasar na kareñ
chhoḌtā hī nahīñ hameñ sayyād
varna parvā-e-bāl-o-par na kareñ
qābil-e-afv maiñ nahīñ na sahī
na kareñ aap darguzar na kareñ
un ko ehsās-e-dard-e-dil kaisā
mar bhī jā.ūñ to aañkh tar na kareñ
us kī bechārgī kā kyā kahnā
jis kī aa.heñ bhī kuchh asar na kareñ
ye bhī tash.hīr-e-shā.erī hai 'josh'
aap dīvān mushtahar na kareñ
jab duaen bhi kuchh asar na karen
kya karen sabr hum agar na karen
dastan KHatm ho hi jaegi
aap qisse ko muKHtasar na karen
chhoDta hi nahin hamein sayyaad
warna parwa-e-baal-o-par na karen
qabil-e-afw main nahin na sahi
na karen aap darguzar na karen
un ko ehsas-e-dard-e-dil kaisa
mar bhi jaun to aankh tar na karen
us ki bechaargi ka kya kahna
jis ki aahen bhi kuchh asar na karen
ye bhi tashhir-e-shaeri hai 'josh'
aap diwan mushtahar na karen
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 116)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.