jab duaen hi be-asar jaen
jab duā.eñ hī be-asar jaa.eñ
jiine vaale batā kidhar jaa.eñ
apnī marzī kā jab na ho jiinā
aise jiine se kyoñ na mar jaa.eñ
ye munāsib nazar nahīñ aatā
be-ḳhabar aa.eñ be-ḳhabar jaa.eñ
zindagī ġham sahī magar is kā
ye to matlab nahīñ ki mar jaa.eñ
zindagī hai idhar udhar jannat
tere bande kidhar kidhar jaa.eñ
jab duaen hi be-asar jaen
jine wale bata kidhar jaen
apni marzi ka jab na ho jina
aise jine se kyon na mar jaen
ye munasib nazar nahin aata
be-KHabar aaen be-KHabar jaen
zindagi gham sahi magar is ka
ye to matlab nahin ki mar jaen
zindagi hai idhar udhar jannat
tere bande kidhar kidhar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.