jab dukhe dil se nikalti hai dua aaKHir-e-shab

jab dukhe dil se nikalti hai dua aaKHir-e-shab
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
jab dukhe dil se nikaltī hai du'ā āḳhir-e-shab
kaañp uThtī hai zamāne kī jafā āḳhir-e-shab
raat bhar tū ne chhupāyā thā tabassum kā jamāl
tere jalvoñ kā hasīñ rang khulā āḳhir-e-shab
shām-e-ġham yuuñ tirī aamad kā tasavvur jaagā
jaise bīmār ko mil jaa.e shifā āḳhir-e-shab
merī āvāz ke saa.e meñ ravāñ thā koī
haa.e kis moḌ pe TuuTī hai sadā āḳhir-e-shab
dard kī raat baḌhī yaad kī qurbat meñ 'adīb'
ban gayā harf-e-tasallī bhī davā āḳhir-e-shab
jab dukhe dil se nikalti hai du'a aaKHir-e-shab
kanp uThti hai zamane ki jafa aaKHir-e-shab
raat bhar tu ne chhupaya tha tabassum ka jamal
tere jalwon ka hasin rang khula aaKHir-e-shab
sham-e-gham yun teri aamad ka tasawwur jaga
jaise bimar ko mil jae shifa aaKHir-e-shab
meri aawaz ke sae mein rawan tha koi
hae kis moD pe TuTi hai sada aaKHir-e-shab
dard ki raat baDhi yaad ki qurbat mein 'adib'
ban gaya harf-e-tasalli bhi dawa aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.