jab dur hain tujhse to ye uftad bhi aae
jab duur haiñ tujh se to ye uftād bhī aa.e
tūfān-e-shab-e-dasht meñ tū yaad bhī aa.e
hairān hai is baat pe amboh-e-āsīrāñ
par khulne kī taqrīb meñ sayyād bhī aa.e
haare hue lashkar kā alam gir bhī chukā hai
ab kyā jo kisī samt se imdād bhī aa.e
ik umr huī nazr-e-ḳharābāt hamārī
sad-shukr sar-e-qarya-e-ābād bhī aa.e
ik bū ki baġhal-gīr huī dasht meñ ham se
jaise yahāñ pahle kabhī ajdād bhī aa.e
jab dur hain tujh se to ye uftad bhi aae
tufan-e-shab-e-dasht mein tu yaad bhi aae
hairan hai is baat pe amboh-e-asiran
par khulne ki taqrib mein sayyaad bhi aae
haare hue lashkar ka alam gir bhi chuka hai
ab kya jo kisi samt se imdad bhi aae
ek umr hui nazr-e-KHarabaat hamari
sad-shukr sar-e-qarya-e-abaad bhi aae
ek bu ki baghal-gir hui dasht mein hum se
jaise yahan pahle kabhi ajdad bhi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.