jab ek gul-ezar ki sohbat mein aa gaya
jab ek gul-ezār kī sohbat meñ aa gayā
aariz kā rañg merī tabī.at meñ aa gayā
apnī razā se jis ne marāsim baḌhā.e the
arz-e-talab pe vo bhī nazākat meñ aa gayā
jī ke zarar ko kaun uThātā hai āj-kal
is dil ko daad de ki mohabbat meñ aa gayā
phirtā huuñ dahr meñ liye ye dostī kā haath
lagtā hai maiñ bhī ku-e-malāmat meñ aa gayā
be-dil se ek kar ke vafā yuuñ lagā mujhe
ye haath ik machine kī ḳhidmat meñ aa gayā
jab ek gul-ezar ki sohbat mein aa gaya
aariz ka rang meri tabiat mein aa gaya
apni raza se jis ne marasim baDhae the
arz-e-talab pe wo bhi nazakat mein aa gaya
ji ke zarar ko kaun uThata hai aaj-kal
is dil ko dad de ki mohabbat mein aa gaya
phirta hun dahr mein liye ye dosti ka hath
lagta hai main bhi ku-e-malamat mein aa gaya
be-dil se ek kar ke wafa yun laga mujhe
ye hath ek machine ki KHidmat mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.