jab farishton ke par nikal aae
jab farishtoñ ke par nikal aa.e
āsmāñ kī jabīñ pe bal aa.e
ḳhatm hone lage safar jab bhī
ik na.ī rah-guzar nikal aa.e
khol do bādbān kashtī ke
ham havāoñ kā ruḳh badal aa.e
jin daraḳhtoñ pe chāñd baiThā thā
un daraḳhtoñ pe tursh phal aa.e
dard-mandoñ se bekalī jaage
bekalī ho to dil ko kal aa.e
jab farishton ke par nikal aae
aasman ki jabin pe bal aae
KHatm hone lage safar jab bhi
ek nai rah-guzar nikal aae
khol do baadban kashti ke
hum hawaon ka ruKH badal aae
jin daraKHton pe chand baiTha tha
un daraKHton pe tursh phal aae
dard-mandon se bekali jage
bekali ho to dil ko kal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.