jab gham-e-dost rag-o-pai mein sama jata hai
jab ġham-e-dost rag-o-pai meñ samā jaatā hai
tab kahīñ jā ke duāoñ meñ asar aatā hai
dil mirā jab bhī shab-e-tār se ghabrātā hai
sham.a sī aa ke koī dil meñ jalā jaatā hai
sochtā huuñ ki tirā dard na kho jaa.e kahīñ
ab to har ġham mirī tanhā.ī se Takrātā hai
tum nahīñ vo bhī nahīñ vo bhī nahīñ vo bhī nahīñ
kaun hai phir jo ġharīboñ pe sitam Dhātā hai
dhuup hī Thiik hai is chhāñv se jo gum kar de
kam se kam dhuup meñ saaya to nazar aatā hai
raat ke baad hī aatī hai sahar ai yaaro
ġham jise milte haiñ rāhat bhī vahī paatā hai
log kahte haiñ kabhī pī ke to dekho 'aḳhtar'
garmī-e-mai se har ik dard pighal jaatā hai
jab gham-e-dost rag-o-pai mein sama jata hai
tab kahin ja ke duaon mein asar aata hai
dil mera jab bhi shab-e-tar se ghabraata hai
shama si aa ke koi dil mein jala jata hai
sochta hun ki tera dard na kho jae kahin
ab to har gham meri tanhai se Takraata hai
tum nahin wo bhi nahin wo bhi nahin wo bhi nahin
kaun hai phir jo gharibon pe sitam Dhata hai
dhup hi Thik hai is chhanw se jo gum kar de
kam se kam dhup mein saya to nazar aata hai
raat ke baad hi aati hai sahar ai yaro
gham jise milte hain rahat bhi wahi pata hai
log kahte hain kabhi pi ke to dekho 'aKHtar'
garmi-e-mai se har ek dard pighal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.