jab gham-e-zindagi ne li karwaT
jab ġham-e-zindagī ne lī karvaT
chain aayā nahīñ kisī karvaT
ham ne badlī ghaḌī ghaḌī karvaT
niiñd aa.ī nahīñ kisī karvaT
vo nazar aa.e haath uThā.e hue
vaqt-e-naz.a jo ham ne lī karvaT
fikr-e-duniyā se ab najāt milī
ham na badleñge ab kabhī karvaT
yak-ba-yak kyā huā 'niyāz' unheñ
le rahe the abhī abhī karvaT
jab gham-e-zindagi ne li karwaT
chain aaya nahin kisi karwaT
hum ne badli ghaDi ghaDi karwaT
nind aai nahin kisi karwaT
wo nazar aae hath uThae hue
waqt-e-naza jo hum ne li karwaT
fikr-e-duniya se ab najat mili
hum na badlenge ab kabhi karwaT
yak-ba-yak kya hua 'niyaz' unhen
le rahe the abhi abhi karwaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.