jab gina qarz chukane aae
jab ginā qarz chukāne aa.e
sab ke phir hosh Thikāne aa.e
tham ga.ī gard to sab ne dekhā
sab tabāhī ke dahāne aa.e
kis balā kī hai kashish va.adoñ meñ
log phir jaan luTāne aa.e
mere hamdard haiñ nādāñ kitne
hijr kā dard baTāne aa.e
dil kā ye haal huā hai jin se
vo bhī ehsān jatāne aa.e
jab gina qarz chukane aae
sab ke phir hosh Thikane aae
tham gai gard to sab ne dekha
sab tabahi ke dahane aae
kis bala ki hai kashish wadon mein
log phir jaan luTane aae
mere hamdard hain nadan kitne
hijr ka dard baTane aae
dil ka ye haal hua hai jin se
wo bhi ehsan jatane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.