jab hum ko taghaful mein kabhi yaad karoge
jab ham ko taġhāful meñ kabhī yaad karoge
ham ḳhuub samajhte haiñ jo bedār karoge
kyā ḳhaak tavaqqo ho pazīrā.ī-e-ġham kī
tum ḳhaak ilāj-e-dil-e-nāshād karoge
vo ham ki giraftār-e-taġhāful hī raheñge
vo tum ho ki bhūle se kabhī yaad karoge
ye rasm-o-rah-e-nāzish-e-bejā na miTegī
kuchh taaza sitam aur bhī ījād karoge
kyā kījiye is dil kī tasallī ko vagarna
tum aur ġham-e-sheva-e-farhād karoge
vallāh ajab kyā jo ba-īñ-tarz-e-taġhāful
tum kār-e-sitam-rānī-e-jallād karoge
lekin ye rahe yaad ki jab ham hī na hoñge
rah rah ke hameñ yaad bahut yaad karoge
takte hī rahoge dar-o-dīvār ko pahroñ
kho jāoge jo lab se kuchh irshād karoge
kyā jāniye kyā kyā na guzar jā.egī dil par
kuchh bhūlī huī bātoñ ko jab yaad karoge
baḌh jā.egī jab had se sivā shorish-e-jazbāt
ḳhud ārzū-e-nashtar-e-fassād karoge
ārā.ish-e-kākul kā bhalā hosh rahegā
jo rashk-e-ḳham-e-turra-e-shamshād karoge
DhūñDoge bahut ham ko magar ham na mileñge
taḌpoge bahut ro.o.ge fariyād karoge
vo sham-e-mohabbat na jalī hai na jalegī
raushan jo sar-e-rah-guzar-e-yād karoge
andesha-e-rusvā.ī se ab aur kahāñ tak
tash.hīr-e-ġham-e-ishq ḳhudā-dād karoge
mauhūm sī ik aas pe jiite haiñ abhī tak
ya.anī ki kisī roz to tum yaad karoge
'ahmar' se bahar-taur tumheñ rabt rahā hai
'ahmar' hī ko bhūle to kise yaad karoge
jab hum ko taghaful mein kabhi yaad karoge
hum KHub samajhte hain jo bedar karoge
kya KHak tawaqqo ho pazirai-e-gham ki
tum KHak ilaj-e-dil-e-nashad karoge
wo hum ki giraftar-e-taghaful hi rahenge
wo tum ho ki bhule se kabhi yaad karoge
ye rasm-o-rah-e-nazish-e-beja na miTegi
kuchh taza sitam aur bhi ijad karoge
kya kijiye is dil ki tasalli ko wagarna
tum aur gham-e-shewa-e-farhad karoge
wallah ajab kya jo ba-in-tarz-e-taghaful
tum kar-e-sitam-rani-e-jallad karoge
lekin ye rahe yaad ki jab hum hi na honge
rah rah ke hamein yaad bahut yaad karoge
takte hi rahoge dar-o-diwar ko pahron
kho jaoge jo lab se kuchh irshad karoge
kya jaaniye kya kya na guzar jaegi dil par
kuchh bhuli hui baaton ko jab yaad karoge
baDh jaegi jab had se siwa shorish-e-jazbaat
KHud aarzu-e-nashtar-e-fassad karoge
aaraish-e-kakul ka bhala hosh rahega
jo rashk-e-KHam-e-turra-e-shamshad karoge
DhunDoge bahut hum ko magar hum na milenge
taDpoge bahut rooge fariyaad karoge
wo sham-e-mohabbat na jali hai na jalegi
raushan jo sar-e-rah-guzar-e-yaad karoge
andesha-e-ruswai se ab aur kahan tak
tashhir-e-gham-e-ishq KHuda-dad karoge
mauhum si ek aas pe jite hain abhi tak
yani ki kisi roz to tum yaad karoge
'ahmar' se bahar-taur tumhein rabt raha hai
'ahmar' hi ko bhule to kise yaad karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.