Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua

Jameela Khatoon Tasneem

jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua

Jameela Khatoon Tasneem

MORE BYJameela Khatoon Tasneem

    jab hamārī zindagī ḳhatm afsāna huā

    us ghaḌī sad-haif un ḳhair se aanā huā

    aap to hañste rahe ham ro ke rusvā ho ga.e

    sham.a to chaltī rahī pāmāl parvāna huā

    merī barbādī ke charche sun ke kis kis naaz se

    pūchhte haiñ muskurā kar kaun dīvāna huā

    dahr meñ ab muskurāne hameñ fursat nahīñ

    dil hujūm-e-ġham banā ġham āh-e-afsāna huā

    na hotā to zamīn-o-āsmāñ kuchh bhī na thā

    tere qadmoñ badaulat merā kāshāna huā

    ai karam-farmā tujhe ho ilm us na ho

    kaun tujh meñ kho ke aur phir ḳhud se begāna huā

    ham ik tanhā nahīñ 'tasnīm' mastāne hue

    un nazreñ kyā uThīñ har riñd mastāna huā

    jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua

    us ghaDi sad-haif un ka KHair se aana hua

    aap to hanste rahe hum ro ke ruswa ho gae

    shama to chalti rahi pamal parwana hua

    meri barbaadi ke charche sun ke kis kis naz se

    puchhte hain muskura kar kaun diwana hua

    dahr mein ab muskurane ki hamein fursat nahin

    dil hujum-e-gham bana gham aah-e-afsana hua

    tu na hota to zamin-o-asman kuchh bhi na tha

    tere qadmon ki badaulat mera kashana hua

    ai karam-farma tujhe ho ilm us ka ya na ho

    kaun tujh mein kho ke aur phir KHud se begana hua

    hum hi ek tanha nahin 'tasnim' mastane hue

    un ki nazren kya uThin har rind mastana hua

    Source :
    • Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 109)
    • Author : Khan Mohammad Atif
    • Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now