jab haq dil-o-dimagh mein bharpur rach gaya
jab haq dil-o-dimāġh meñ bharpūr rach gayā
mere qadam jahāñ paḌe kohrām mach gayā
har baar us se quvvat-e-iz.hār chhin gayā
jab bhī maiñ us kī bazm meñ le kar pahuñch gayā
maiñ ne to apne dar pe likhāyā thā apnā naam
lekin koī paḌosī use bhī khurach gayā
dariyā kī tah chaTān kī zad ko bhī sah ga.ī
lekin ye kyā ki sat.h pe ik shor mach gayā
kal raat un ġharīboñ ko qai kyuuñ na aa sakī
khānā amīr-e-shahr kā kyuuñ un ko pach gayā
'aslam' karāmatoñ meñ karūñgā shumār agar
merā ḳhulūs tohmat-e-yārāñ se bach gayā
jab haq dil-o-dimagh mein bharpur rach gaya
mere qadam jahan paDe kohram mach gaya
har bar us se quwwat-e-izhaar chhin gaya
jab bhi main us ki bazm mein le kar pahunch gaya
main ne to apne dar pe likhaya tha apna nam
lekin koi paDosi use bhi khurach gaya
dariya ki tah chaTan ki zad ko bhi sah gai
lekin ye kya ki sath pe ek shor mach gaya
kal raat un gharibon ko qai kyun na aa saki
khana amir-e-shahr ka kyun un ko pach gaya
'aslam' karamaton mein karunga shumar agar
mera KHulus tohmat-e-yaran se bach gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.