jab hasti-e-kaunain tere gham mein miTa di
jab hastī-e-kaunain tire ġham meñ miTā dī
har parda-e-hastī se mujhe tū ne sadā dī
rūdād mire ġham kī unheñ kis ne sunā dī
bhaḌkī thī udhar aag idhar kis ne lagā dī
anjām-e-ġham-e-ishq jo pūchhā to sabā ne
kuchh ḳhaak patangoñ kī sar-e-bazm uḌā dī
har shaiḳh-o-barahman ko rah-e-ishq dikhā kar
vahshī ne had-e-ka.aba-o-but-ḳhāna miTā dī
jab hasti-e-kaunain tere gham mein miTa di
har parda-e-hasti se mujhe tu ne sada di
rudad mere gham ki unhen kis ne suna di
bhaDki thi udhar aag idhar kis ne laga di
anjam-e-gham-e-ishq jo puchha to saba ne
kuchh KHak patangon ki sar-e-bazm uDa di
har shaiKH-o-barahman ko rah-e-ishq dikha kar
wahshi ne had-e-kaba-o-but-KHana miTa di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.