jab ho gaya kamal to cigarette jala liya
jab ho gayā kamāl to cigarette jalā liyā
yā phir huā malāl to cigarette jalā liyā
ḳhud par kisī ko hañsne kā mauqa nahīñ diyā
pūchhā kisī ne haal to cigarette jalā liyā
sūkhe gale se lafz ko laanā thā zehn tak
jab aa gayā ḳhayāl to cigarette jalā liyā
ġhusse meñ ḳhuuñ ke ghūñT to piitā rahā magar
āñkheñ huiiñ jo laal to cigarette jalā liyā
achchhī nahīñ hai shai magar 'ahyā' maiñ kyā karūñ
karnā hai shukr-e-hāl to cigarette jalā liyā
jab ho gaya kamal to cigarette jala liya
ya phir hua malal to cigarette jala liya
KHud par kisi ko hansne ka mauqa nahin diya
puchha kisi ne haal to cigarette jala liya
sukhe gale se lafz ko lana tha zehn tak
jab aa gaya KHayal to cigarette jala liya
ghusse mein KHun ke ghunT to pita raha magar
aankhen huin jo lal to cigarette jala liya
achchhi nahin hai shai magar 'ahya' main kya karun
karna hai shukr-e-haal to cigarette jala liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.