jab hue KHwab mein visal hue
jab hue ḳhvāb meñ visāl hue
tum ko dekhe to māh-o-sāl hue
ham tumheñ bhuul kar bhī yaad kareñ
kis qadar sāhab-e-kamāl hue
ho ga.e apnī zaat meñ yaktā
be-misālī kī ik misāl hue
apnī ḳhāmoshiyoñ ke hujre meñ
shor kartā huā dhamāl hue
lutf lene ko un kī hairat kā
ham bhī ā.īna-e-jamāl hue
lamha-e-vasl to guzar hī gayā
haañ magar roz-o-shab vabāl hue
un ko dīvān se nikāl diyā
sher jo apne hasb-e-hāl hue
jab hue KHwab mein visal hue
tum ko dekhe to mah-o-sal hue
hum tumhein bhul kar bhi yaad karen
kis qadar sahab-e-kamal hue
ho gae apni zat mein yakta
be-misali ki ek misal hue
apni KHamoshiyon ke hujre mein
shor karta hua dhamal hue
lutf lene ko un ki hairat ka
hum bhi aaina-e-jamal hue
lamha-e-wasl to guzar hi gaya
han magar roz-o-shab wabaal hue
un ko diwan se nikal diya
sher jo apne hasb-e-haal hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.