jab hue the anath kaun aaya
jab hue the anāth kaun aayā
sar pe rakhne ko haath kaun aayā
haiñ sabhī jang ke ḳhilāf magar
saath meñ khul ke saath kaun aayā
ham ne dekhā nahīñ ye 'ujlat meñ
jurm kis kā thā haath kaun aayā
ab shikāyat hai rahnumā.ī kī
jab dī āvāz saath kaun aayā
e'timād itnā thā ki dekhā nahīñ
bāñdh ke pīchhe haath kaun aayā
Dūbne se mujhe bachāne ko
kis ne thāmā thā haath kaun aayā
jab hue the anath kaun aaya
sar pe rakhne ko hath kaun aaya
hain sabhi jang ke KHilaf magar
sath mein khul ke sath kaun aaya
hum ne dekha nahin ye 'ujlat mein
jurm kis ka tha hath kaun aaya
ab shikayat hai rahnumai ki
jab di aawaz sath kaun aaya
e'timad itna tha ki dekha nahin
bandh ke pichhe hath kaun aaya
Dubne se mujhe bachane ko
kis ne thama tha hath kaun aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.