jab hue tum chaman mein aan khaDe
jab hue tum chaman meñ aan khaḌe
vohīñ ho ga.e guloñ ke kaan khaḌe
shukr-e-ġham hai ki dil ke maidāñ meñ
aah o naale ke haiñ nishān khaḌe
baiThne kī nahīñ rahī tāqat
hoveñ kyā ham se nā-tavān khaḌe
us talak bāl-e-shauq le pahuñchā
rah ga.e dar pe dārbān khaḌe
us ke tīr-e-nigāh kī daulat
haiñ dar-e-dil pe mehmān khaḌe
be-sabab ham se rūThe jaate ho
sun lo Tuk ho ke mehrbān khaḌe
diin o īmān o jaan dene ko
ham to haiñ rū-ba-rū har aan khaḌe
aaj vo imtihān le 'joshish'
ham bhī haiñ bahr-e-imtihān khaḌe
jab hue tum chaman mein aan khaDe
wohin ho gae gulon ke kan khaDe
shukr-e-gham hai ki dil ke maidan mein
aah o nale ke hain nishan khaDe
baiThne ki nahin rahi taqat
howen kya hum se na-tawan khaDe
us talak baal-e-shauq le pahuncha
rah gae dar pe darban khaDe
us ke tir-e-nigah ki daulat
hain dar-e-dil pe mehman khaDe
be-sabab hum se ruThe jate ho
sun lo Tuk ho ke mehrban khaDe
din o iman o jaan dene ko
hum to hain ru-ba-ru har aan khaDe
aaj wo imtihan le 'joshish'
hum bhi hain bahr-e-imtihan khaDe
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.