jab hujum-e-gham se ji ghabra gaya
jab hujūm-e-ġham se jī ghabrā gayā
jaane kyoñ lab par tirā naam aa gayā
aah 'shāriq' ab mirī hālat na pūchh
dil-dahī se aur vo taḌpā gayā
dil pe jo guzre vo sah letā huuñ maiñ
ab mujhe har zahr piinā aa gayā
āb-dīda jab nazar aayā koī
yaad ik bhūlā fasāna aa gayā
bijliyoñ meñ ghir ke ai 'shāriq' hameñ
āshiyāne kā banānā aa gayā
jab hujum-e-gham se ji ghabra gaya
jaane kyon lab par tera nam aa gaya
aah 'shaariq' ab meri haalat na puchh
dil-dahi se aur wo taDpa gaya
dil pe jo guzre wo sah leta hun main
ab mujhe har zahr pina aa gaya
aab-dida jab nazar aaya koi
yaad ek bhula fasana aa gaya
bijliyon mein ghir ke ai 'shaariq' hamein
aashiyane ka banana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.