jab ibtida charagh thi jab intiha charagh
jab ibtidā charāġh thī jab intihā charāġh
mahfil ke iḳhtitām pe phir kyā huā charāġh
tū hī batā ki anjuman-ārā.ī kyā huī
is anjuman meñ tū bhī to jaltā rahā charāġh
mere qarīb aa ke bhī itnā gurez kyuuñ
mere nadīm thā kabhī maiñ bhī tirā charāġh
phir us ke baad hairat-e-vahm-o-gumān thī
jab ban gayā vajūd meñ ik aa.ina charāġh
guzrī jo mujh pe guzrī mirī baat aur hai
lekin jo tujh pe guzrī mujhe vo sunā charāġh
manzar hai raat kā hī tire canvas pe kyuuñ
jugnū banā shajar kabhī patte banā charāġh
chaupāl kī kahānī ke kirdār kyā hue
shab ḳhatm ho ga.ī hai so bujhne lagā charāġh
'ahmad' bas ek raat meñ qissa tamām shud
maiñ thā fasīl-e-shām pe jaltā huā charāġh
jab ibtida charagh thi jab intiha charagh
mahfil ke iKHtitam pe phir kya hua charagh
tu hi bata ki anjuman-arai kya hui
is anjuman mein tu bhi to jalta raha charagh
mere qarib aa ke bhi itna gurez kyun
mere nadim tha kabhi main bhi tera charagh
phir us ke baad hairat-e-wahm-o-guman thi
jab ban gaya wajud mein ek aaina charagh
guzri jo mujh pe guzri meri baat aur hai
lekin jo tujh pe guzri mujhe wo suna charagh
manzar hai raat ka hi tere canwas pe kyun
jugnu bana shajar kabhi patte bana charagh
chaupal ki kahani ke kirdar kya hue
shab KHatm ho gai hai so bujhne laga charagh
'ahmad' bas ek raat mein qissa tamam shud
main tha fasil-e-sham pe jalta hua charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.