jab jab ana ke hath mein patwar aa gai
jab jab anā ke haath meñ patvār aa ga.ī
kashtī Dubone vaalī koī dhaar aa ga.ī
chehroñ pe ik ajiib sī lashkār aa ga.ī
jaise hī ek haath meñ aḳhbār aa ga.ī
jhagḌā to ahmaqoñ meñ huā thā magar ye kyā
dānishvaroñ ke darmiyāñ dīvār aa ga.ī
kuchh zimmedāriyoñ se mirā Dhīlā-pan gayā
kuchh apne aap garmī-e-raftār aa ga.ī
nafrat kā ek na.ara lagā thā hujūm meñ
phir har kisī ke haath meñ talvār aa ga.ī
mar to nahīñ gayā hai kahīñ aap kā zamīr
kaise kisī ke paañv pe dastār aa ga.ī
pahle hamārā bolnā kaisā thā chhoḌiye
urdu zabān siikh lī guftār aa ga.ī
jab jab ana ke hath mein patwar aa gai
kashti Dubone wali koi dhaar aa gai
chehron pe ek ajib si lashkar aa gai
jaise hi ek hath mein aKHbar aa gai
jhagDa to ahmaqon mein hua tha magar ye kya
danishwaron ke darmiyan diwar aa gai
kuchh zimmedariyon se mera Dhila-pan gaya
kuchh apne aap garmi-e-raftar aa gai
nafrat ka ek nara laga tha hujum mein
phir har kisi ke hath mein talwar aa gai
mar to nahin gaya hai kahin aap ka zamir
kaise kisi ke panw pe dastar aa gai
pahle hamara bolna kaisa tha chhoDiye
urdu zaban sikh li guftar aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.