jab jab isko socha hai
jab jab is ko sochā hai
dil andar se mahkā hai
sahrā par mauqūf nahīñ
dariyā bhī to pyāsā hai
tere ruup kā saaya to
sīdhā dil par paḌtā hai
sab se us kī bāteñ karnā
kitnā achchhā lagtā hai
choT lage ik umr huī
zaḳhm abhī tak ristā hai
shaam kī bāñhoñ meñ 'nomān'
kis ko sochtā rahtā hai
jab jab is ko socha hai
dil andar se mahka hai
sahra par mauquf nahin
dariya bhi to pyasa hai
tere rup ka saya to
sidha dil par paDta hai
sab se us ki baaten karna
kitna achchha lagta hai
choT lage ek umr hui
zaKHm abhi tak rista hai
sham ki banhon mein 'noman'
kis ko sochta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.